SAEED POETRY COLLECTOIN

Amjad islam amjad

Posted: by SAEED ATISH in

Bhir main ik ajnabi ka samana acha laga
sab se chup kar vo kisi ka dekhna acha laga

surmai ankhon k niche phul se khilne lage
kahte kahte kuch kisi ka sochna acha laga

bat to kuch bhi nahi thi lekin us ka ek dam
hath ko honton pe rakh kar rokna acha laga

chay main chini milana us ghari bhaya bahut
zer-e lab vo muskurata shukriya acha laga

dil main kitne ahad bandhe the bhulane ke use
vo mila to sab irade torna acha laga

beirada lams ki vo sansani pyari lagi
kam tavajjo ankh ka vo dekhna acha laga

nim shab ki Khamushi main bhigti sarkon pe kal
teri yadon k jalo main ghumna acha laga

us udu-e-jan ko 'Amjad' main bura kaise kahun
jab bhi aya samne vo bevafa acha laga
--------------------------------------------------


dil k dariya ko kisi roz utar jana hai
itna besimt na chal laut ke ghar jana hai

us tak ati hai to har chiz thahar jati hai
jaise pana hi use asl main mar jana hai

bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai
dil ko rukana hai k taron main thahar jana hai

kaun ubharate hue mahatab ka rasta roke
us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai

main khila hun to isi khak main milna hai mujhe
vo to khushbu hai use agle nagar jana hai

vo tere husn ka jadu ho k mera gam-e-dil
har musafir ko isi ghat utar jana hai
=====================================


jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-Khush main sama gaye
vahi jalte bujhte se mahar-o-mah mere bam-o-dar ko saja gaye

ye ajib khel hai ishq ka main ne ap dekha ye mojeza
vo jo lafz mere guman main the vo teri zuban par a gaye

vo jo git tum ne suna nahi meri umr bhar ka riyaz tha
mere dard ki thi dastan jise tum hansi main ura gaye

vo charag-e-jan kabhi jis ki lau na kisi hava se nigun hui
teri bevafai ke vasava use chupke chupke bujha gaye

vo tha chand sham-e-visal ka k tha rup tere jamal ka
meri ruh se meri ankh tak kisi raushani main naha gaye

ye jo bandagan-e-niyaz hai ye tamam hai vo lashkari
jinhen zindagi ne aman na di to tere huzur main a gaye

teri beruKhi k dayar main main hava ke sath hava hua
tere aine ki talash main mere Khvab chehara ganva gaye

tere vasvaon k fishar main tera sharar-e-rang ujar gaya
meri khvahishon k gubar main mere mah-o-sal-e-vafa gaye

vo ajib phul se lafz the tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-khvab main dur tak koi bagh jaise laga gaye

meri umr se na simat sake mere dil main itne saval the
tere pas jitne javab the teri ik nigah main a gaye
--------------------------------------------------
kahan aa k rukne the raste kahan mor tha use bhul ja
vo jo mil gaya use yad rakh jo nahi mila use bhul ja

vo tere nasib ki barishen kisi aur chat pe baras gai
dil-e-bekhabar meri bat sun use bhul ja use bhul ja

main to gum tha tere hi dhyan main teri as main tere guman main
hava kah gai mere kan main mere sath a use bhul ja

tujhe chand ban k mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja
-----------------------------------------------------


Khud apne liye baith k sochenge kisi din
yun hai k tujhe bhul k dekhenge kisi din

bhatake hue phirte hain kai lafz jo dil main
duniya ne diya vaqt to likkhenge kisi din

hil jayenge ik bar to arshon k dar-o-bam
ye khaknashin log jo bolenge kisi din

apas ki kisi bat ka milta hi nahi vaqt
har bat ye kahae hain k baithenge kisi din

ai jan teri yad k be-nam parinde
shakhon pe mere dard ki utrenge kisi din

jati hai kisi jhil ki gahrai kahan tak
ankhon main teri dub k dekhenge kisi din

khushbu se bhari sham main jugnu k qalam se
ik nazm tere vaste likkhenge kisi din

soyenge teri ankh ki khlvat main kisi rat
saye main teri zulf k jagenge kisi din

khushbu ki tarah ,asl-e-saba khak numa se
galiyon se tere shahar ki guzrenge kisi din

'Amjad' hai yahi ab k kafan bandh k sar se
us shahar-e-sitamgar main jayenge kisi din
-------------------------------------------------
kisi ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai

savad-e-dard main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai

samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai

sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai

ye basti hai sitam parvar digan ki
yaha koi kisi se kam nahi hai

kinara dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai

dilon ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai

main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai

jo koi sun sake 'Amjad' to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai
--------------------------------------------------
na shikayaten na gila kare
koi aisa shaKhs hua kare
jo mere liye hi saja kare
mujh hi se baten kiya kare

kabhi roye jaye vo bepanah
kabhi betahasha udas ho
kabhi chup k chup k dabe qadam
mere piche a kar hansa kare

meri qurbaten meri chahaten
koi yad kare qadam qadam
main tavil safar main hun agar
meri vapasi ki dua kare
===========================================

zindagi k mele main
khvahishon k rele main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele main
vaqt ki ravani hai
bakht ki girani hai
sakht bezamini hai
sakht lamakani hai
hijr k samandar main
takht aur takhte ki
ek hi kahani hai
tum ko jo sunani hai

bat go zara si hai
bat umr bhar ki hai
umr bhar ki baten kab
do ghari main hoti hain
dard k samandar main
anginat jaziren hain
beshumar moti hain
ankh k dariche main
tum ne jo sajaya tha
bat us diye ki hai
bat us gile ki hai
jo lahu ki khilvat main
chor ban k ata hai
lafz k fasilon par
tut tut jata hai

zindagi se lambi hai
bat ratjage ki hai
raste main kaise ho
bat takhliye ki hai
takhliye ki baton main
guftagu izafi hai
pyar karne valon ko
ik nigah kafi hai
ho saky to sun jao
ek din akale main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele main

======================================


Teri zat se nikalna chahta hai
ye dariya rukh badalana chahata hai

vo sapna jis ki surat hi nahi hai
meri ankhon main chalna chahta hai

dilon ki mandagi pe kya ta'ajjub
k suraj bhi to dhalna chahta hai

nashist-e-dard badali hai to ab dil
zara pahlu badalna chahta hai

mujhe bhi samana hai karbala ka
mera sar bhi uchalna chahta hai

nahi hai tarjuman-e-gam ye ansu
ye pani ab ubalna chahta hai

tabassum zer-e-lab kahta hai 'Amjad'
koi jazba machalna chahta hai

Followers